Friday, February 23, 2007

Prem

This rythm is written by one of my frnd and fantastic poet from Gaziabad.

---------------------------------------------------------------------------

koi deewana kahta hai, koi paagal samajhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus baadal samajhta hai.
tu mujhse door kaisi hai, mai tujhse door kaisa hoon
ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai...

mohabbat ek ehsaason ki, paawan si kahani hai
kabhi kabira diwaana tha, kabhi meera diwani thi
yaha sab log kahte hai, meri aankhon me aansu hai
jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to paani hai...

samandar peer ke andar hai lekin ro nahi sakta
ye aansu pyar ka moti hai, isko kho nahi sakta.
meri chaahat ko tu apna bana lena, magar sun le
jo mera ho nahi paaya to tera ho nahi sakta...

bhramar koi, kumudni par machal baitha to hangaama
hamare dil me koi khvab, pal baitha to hangaama
abhi tak doob ke sunte the sab, kissa mohabbat ka,
mai kisse ko haqqikat me badal baitha to humgaama...